Aik Aur Story Drama Cast – Story – OST – Timing – Release Date | 2021

Aik  Aur Story Drama Cast – Story – OST – Timing – Release Date  | Aik Aur Story 2021 me shoro honay wala aik naya drama ha jo Express TV par shoro ho raha ha. Express TV Pakistan ka aik Entertainment Channel ha jo bhat sa bahtreen ho entertainment sa bharpor dramay nashar karta ha. 

Aik Aur Story Drama me Ushna Shah, Minal Khan, Emmad Irfani aur Imran Ashraf markzi krdar nibha rahy hain. Is drama ki cast inthai shandar aur baslahiyat ha. Behtreen cast ki waja sa Nazreen ki dilchaspi is drama me mazeed  bhar gai ha. 

Aik Aur Story Drama ki Cast, Story, OST, Timing aur Release Date ki mukmal tafsilat is article me fraham ki gai hain.

Aik  Aur Story Drama Cast

Jasa ka upper btaya gaya ha is Drama ki Cast Pakistan ki top ki Actress par mushtmil ha jin me Minal Khan aur Ushna Shah jasi super star Actress kam kar rahi hain.

ProducerUpdating
Director :Fahim Burney
Writer : Updating

Star Cast

  • Unshna Shah 
  • Imran Ashraf 
  • Minal Khan 
  • Emmad Irfani 
  • Sadaf Kanwal 
  • Abis Raza 
  • Muhammad Ahmed 
  • And Others 

Aik Aur Story Drama Timing / Release  Date 

Aik Aur Story Drama apni tayari ka akheri mrahil me ha. Abhi tak is drama ki Release Date ka Express Tv ki janib sa Ellan nahi kiya gaya. Lakin umeed yahi ha ka yeh drama 2021 main hi Nashar kar diya jaye ga. Jasy hi is drama ki release date ka Ellan hoga hum apko yaha update kar dain ga. 

Ek Jhoota Lafz Mohabbat Drama Cast – Story – Timing – OST | DramasPK

Aik Aur Story Drama Story

Aik Aur Story Drama ki kahani bhat hi achi ha is me Jazbat, Tafreh aur Suspens shamil ha. Is drama me Minal Khan aur Emmad Irfani aik Couple ka tor par nazar ain ga is sa phly yeh couple ‘Drama Seriel Jalan’ main bhe aik sath kam kar chuka ha jisy nazreen na bhat pasnd kiya ta.

Ushna Shah  aur Imran Ashraf bhe aik couple ka tor par nazar ain ga or yeh dono phli dafa kisi dramay me aik sath kam kar rahy hain is sa haly yeh kisi drama main aik sath nazar nai aye.

Aik Aur Story Drama ki khani main do Shadi Shuda couple ko dikhaya jaye ga jin ko shadi ka bad bhat sa masail ka samna karna parta ha. Yeh drama Nojwano ko shadi ka bad paish any waly masail ko ujaghar karta ha.

Is drama me Sadaf Kanwal bhe kam kar rahi ha jo Minal Khan ki bhari bhan ka kardar nabhaye gi. Sadaf Kanwal Pakistan ki aik Baslahiyat Actress aur Modal ha.  

Rang Mahal Drama Cast _ Story _ Timing _ OST | Geo TV

Ushna Shah 

Ushna Shah aik Khobsoort Pakistani actress hai. Wo Pakistan ka City Lahore me paida hoi . Is na Apny showbiz career ka aghaz 2013 main apny phly drama ‘ Mere Khwabon Ka Diya’ Sa kiya tha. Wo 2013 sa la ka ab tak Pakistan Showbiz industery sa wabsta ha. 

Ushna na bhat sa supper hit dramo main kam kiya ha.  Us ka Chand Mashoor Dramo ka Namo me Lashkara, Ru Baru Ishq Tha, Balaa, Cheekh, Help Me Durdana, Choti Choti Batain, Pinky Ka Dulha, Bewafa, Dikhawa, Bandhay Aik Dor Se, Aakhir Kab Tak & Parizaad.

Ushna Shah Ki Walida Bhe Aik Actress Hain Unka Name Ismat Tahira ha. Irsa Ghazal Be Aik Actress Ha Jo Ushna Shah Ki Bahen ha. Or Abi Ushna Shah Aik Aur Story Drama Cast Main Shamil Ha.

Aik Aur Story Drama Story

Minal Khan 

Minal Khan Pakistan Ki Aik Mashoor Aur Kamyab Actress ha. Iska Pora Name Minal Muneeb Khan ha. Minal Khan 20, November 1988 Main Karachi, Sindh, Pakistan Main Paida Hoi. Wo Pakistani Actress Aiman Khan Ki Bhari Bahan Ha.

Minal Khan Na Showbiz Main Apny Career Ka Aghaz Apny Phaly Drama ‘ Kaash Main Teri Beti Na Hoti’ Sa Kiya Tha. Yeh Drama Pakistan Main Bohat Zayda Maqbool  Hova Aur Isi Drama Ki Waja Sa Minal Khan Ko Bhat Zayda Sohrat Mili.

Minal Khan Na Be-Shomar Dramo Main Kam Kiya Ha jin Main Laut Ke Chalay Aana, Dil Nawaz, Parchayee, Ustani Jee, Ghamand, Kabhi Band Kabhi Baja, Ki Jaana Main Kaun, Hassad, Aey Ishq, Qismat, Jalan, Nand, Ishq Hai Shamil Hain. Ab Minal Khan Aik Aur Story Drama Cast Main Shamil Ha.

Aik Aur Story Drama Timing

Emmad Irfani 

Irfani Aik Pakistani Model Aur Acter Ha. Emmad Aik Hendsome Shaksiyat Ka Malik Ha. Wo 29, April 1980 Ko Peshawar Main Paida Hova Tha. Emmad Na 2013 Main Phali Dafa ‘ Aasmanon Pay Likha’ Drama Main Kam Kiya Tha. Yeh Drama Geo TV Par 2013 Main Nashar Hova Tha. 

Dramo Main Any Sa Phaly Wo Aik Model Tha Aur Bhat Se Brands Ka Liye Modling Kar Chuka Tha. Emmad Irfani Ka Dramo Main Jalan, Cheekh, Tawaan, Titli, Woh Aik Pal, Kuch NA Kaho, Aik Thi Misal Wagara Shamil Hain. 

2018 Main Emmad Na ‘7 Din Mohbbat In’ Film Main Be Kam Kiya Tha. Yeh Film 2018 Main Pakistan Main Release Hoi Thi. Ab Emmad Aik Aur Story Drama Cast Main Shamil Ha.

Aik Aur Story Drama Release date

Imran Ashraf 

Imran Ashraf Ka Pora Name Imran Ashraf Awan Hai. Wo 11, September  Ko Peshawar Main Paida Hova. Imran Ashraf Na Showbiz Main Apny Career Ka Aghas 2011 Main Kiya.

Imran Ashraf Ka Pahala Drama ‘Wafa Kaisi Kahan Ka Ishq’ Tha. Wo Dramo Main Bohat Mushkil Role Karny Ki Waja Sa Mashoor Ha.  Ranjha Ranjha Kardi Main Us Na ‘ Bhola’ Ka Kardar Nibhaya Jo Aik Zahni Mareez Tha. Is Kardar Na Imaran Ashraf Ko Bohat Zayda Shohrat Dilwai. 

Imaran Ashraf Ka Drama ‘Raqs e Bismil’ Pakistan Main Bohat Zayada Maqbool Hova Aur Yeh Drama 2021 Main Sab Sa zayda Dakhy Janay Wala Drama Ban Gaya.
Imran Ashraf Ka Diger Dramo Main Tabeer, Dil-E-Jaanam, Toh Dil Ka Kia Hova, Lashkara, Jaal, Inkaar, Rani Nokrani, Kahin Deep Jaley, Mushq Shamil hain. Ab Imran Aik Aur Story Drama Cast Main Shamil Ha.

Aik Aur Story Drama OST

Humain Umeed Ha Ka Aik Aur Story Drama Cast – Story – Timing – OST Ka Bare Main Yeh Malomat Apko Pasand Ai Hogi. Ager App Ko Yeh Information Achi Lagi To Is Post Ko Social Media Par Share Kar Ka Humain Support Krein Shokriya. 

Leave a Comment